Hazrat Khwaja Sayyed Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Khwaaja Ghareeb Nawaaz, Ata-e-Rasool, Naa'ib-e-Rasool-fil-Hind, Qutb-ul-Mashaa'ikh e Behr o bar, Sultaan-ul-Hind, Hind-al-Wali, Khwaaja e Khwaajgaan, Aaftab e Chishtiya, Daleel-ul-Aarifeen.

********************
Aap ki wilaadat Sajistan (Iran) me 536 Hijri (1141 A.D.) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Ghayas-ud-deen bin Ahmad Hasan rahmatullāhi alaihi hai (Jo Husaini saadaat hain) aur waalida ka naam Hazrat Bibi Ummal wara Maahe Noor binte Hazrat Sayyed Daawūd rahmatullāhi alaihi hai (Jo Hasani saadaat hain).

Aap ki waalida maajida farmaati hain ke ‘Jab mere bete mere shikam me the tab mere pet se zikre ilāhi ki aawaaz sunai deti thi aur jab mere bete Moeen-ud-deen Hasan ki wilaadat hui to aisa Noor zaahir hua ke mera ghar hi nahi pura mohalla Roshan o munawwar ho gaya.’

*****************
Sajistan par baar baar Taataari hamla karte the. Is liye Aap ke waalidain Sajistan chhodkar Sanjar aa gaye. Tab aap ki umr 2 saal ki thi.

Aap aam bacho ki tarah kabhi khel kood me shareek nahi hue. Bachpan se hi aap Hum-dardi, Sakhaawat aur Husn e aklaaq ka muzaahira karte rahe.

Ek baar Eid ke din aap Eidgaah ki taraf  ja rahe the. Raaste me aap ne andhe bache ko phate puraane kapde me dekha. Aap ne apne paas jo ache kapde the wo use pehna diya aur khud ghar jaakar dusre kapde pehne aur us bache ko apne saath eidgaah lekar gaye.

8 saal ki umr me aap ke waalid ka inteqaal hua aur 16 saal ki aap ki waalida ka inteqaal hua.

********************
Aap ne Khurasan me taalim haasil ki.
9 saal ki umr me aap Haafiz e Qur’an hue.

***************************
544 Hijri me Ek baar aap apne phalo ke bagheeche me kaam kar rahe the, tab Hazrat Ibrāheem Qandoozi naam ke ek durwesh waha aae aur baithe. Aap ne un ko apne bageeche me se angoor ka guchha paish kiya aur Unho ne use khaaya aur mehmaan nawaazi se khush hokar apne thaile me kuchh nikala aur use chabakar Khwaja ko khaane ke liye diya. Aap ne khushi ke saath use khaya to un ke fayuzo barkaat se aap ke liye ilm o hikmat ke darwaaze khul gaye. Aur aap ne apna sab kuchh bech diya aur us raqam ko gareebo aur mohtaajo ko khairaat kar diya aur phir aap Samarkand and Bukhara ki taraf ilm e deen sikhne ke liye rawaana ho gaye.

544 se 550 Hijri tak aap waha Hazrat Maulana Hisaam-ud-een aur Hazrat Maulana Sharf-ud-deen ke paas taalim haasil karte rahe.
Aap ne Hadees aur Fiqh ki taalim haasil ki.

551 Hijri (1156 A.D.) me aap ki mulaaqaat Huzoor Ghauṡ e aazam Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu se hui.

************************
Aap ek peer e kaamil ki talaash kar rahe the ke Aap ne Khwaja Uṡmaan Haarooni rahmatullāhi alaihi ke baare me suna.
552 Hijri (1128 A.D.) me Aap Hazrat ki baargaah me gaye aur un ke mureed hue. Aur Ibaadat e ilāhi aur Khidmat e murshid karte rahe.
Aap ne 22 saal peer ki khidmat me guzaare.

Khwaja Uṡmaan Haarooni farmaate hain ‘Moeen-ud-deen Mehboob e khuda hai aur mujhe us ki Mureedi par naaz hai.’

************************
Aap Peer o murshid ki sohbat me taaleem haasil karte rahe aur murshid ke har hukm ki taameel karte rahe aur farmaane murshid ke mutaabiq mujaahida karte rahe.

Ek martaba Khwaja Uṡmaan Haarooni ne Aap ko apna kurta diya aur farmaaya ke ‘Ise dhokar laao aur is ke dhovan ka paani aisi jagah par daalna jaha kisi makhlooq ka pair na pade.’ Aap Peer ke kurte ko dhokar sukhaakar laaye aur Peer ko waapas diya to unho ne puchha ke ‘Is ke paani ka kya kiya?’ Aap ne farmaaya ‘Huzoor! Mujhe aisi koi jagah nazar nahi aai jaha kisi makhlooq ka pair na pade. Is liye maine us paani ko pee liya.’ Peer ne khush hokar dua farmai ke ‘Tum ne rahmat e ilāhi ko paa liya hai aur us paani ki barkat se mera ilm tumhe haasil ho gaya hai.’

Ek martaba Aap ke Peer ne Aap ko paani laane ke liye kaha. Aap paani lekar gaye pahunche to peer ne kaha ‘Piyaala patak do.’ Aap ne piyaala patak diya. Peer ne farmaaya ‘Are ye kya kiya itna qeemati piyaala tod daala.’ Aap ne farmaaya ‘Mujh se galti ho gai. Aap is ke liye jo chaahe saza den.’

Khwaja Uṡmaan Haarooni ne aap ko apne qareeb bulaakar apni do ungliya aap ki dono aankho ke bich me rakhi aur phir farmaaya ‘Moeen-ud-deen! neeche dekho, kya dikhta hai?’ Aap ne neeche dekhkar kaha ‘Main tehtussara tak dekh sakta hu.’ Phir peer ne kaha ‘Ab upar dekho, Kya dikhta hai?’ Aap ne upar dekhkar kaha  ‘Main arsh e aazam tak dekh sakta hu.’
Peer ne farmaaya ‘Moeen-ud-deen! Tum ban gaye.’ Aap ne farmaaya ‘Huzoor! Agar ban bhi gaya hu to aap hi ka hu.’
Khwaja Uṡmaan Harooni ne khush hokar aap ko khilaafat ata farmai.

***************************
Ek baar aAap ke peer Khwaja Uṡmaan Haarooni rahmatullāhi alaihi ne apne sab mureedo ko jama karke kaha ke ‘Maine tumhe jo ilm sikhaya hai us se kuchh karaamat paish karo.’ Sab mureedo ne baari baari karaamat se alag alag cheez paish ki. Kisi ne sona, kisi ne chaandi, kisi ne hire jawaaharat, kisi ne deenaar o dirham paish kiye. Khwaja Moin-ud-deen ne roti ke tukde pesh kiye. Sab mureed hansane lage.

Itne me darwaaze par ek saa'il ne aawaaz di ke ‘Main kai din se bhuka hu. Mujhe khaane ke liye kuchh de do.’ Sab ne apni apni cheeze us ko dena chaaha. Magar us saa'il ne kaha ke ‘Main is sona -chaandi, heere jawaaharat, deenaro dirham ka kya karun? Mujhe to khane ke liye kuchh do.’
Phir Khwaja ne apne roti ke tukde us ko de diye. Us ne use lekar bahot saari duaen di.
Is ke baad Khwaja Uṡmaan Haarooni ne farmaaya ki ‘Aye Moin-ud-deen! Tum Ghareeb nawaaz ho’.

***************************
555 Hijri me Hazrat Shaikh Ziya-ud-deen Abul Najeeb Abdul Qaahir Suharwardi rahmatullāhi alaihi  se mulaaqaat hui.

561 Hijri me Hazrat Daata Ganj Bakhsh rahmatullāhi alaihi ke mazaar par Chilla-kashi ki.

***************************
563 Hijri (1167 A.D.) me Khwaja Uṡmaan Haarooni ne Aap ko khirqa mubarak ata kiya aur apne saath hajj ko lekar gaye.

Ek baar aap Makka shareef me Masjide Haram me ibaadat me mashgool the. Itne me ghaib se aawaaz aai ‘Aye Moeen-ud-deen! Hum ne ise qubool farmaaya.’

Is ke baad jab Madeena shareef pahunche aur Huzoor Sarwar e kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ko Salaam pesh kiya ‘Assalatu wassalaamu alayka Ya Rahmatullil aalameen’ to Roza mubarak me se jawaab aaya ‘Wa alaikum assalaam Ya Qutb ul Mashaa'ikh e Bahr o Bar’ (Aur tum par bhi salaamati ho, Aye zameen aur samundar ke buzurgho ke Qutub’).

***************************
581 Hijri (1185 A.D.) me Gail me Huzoor Ghauṡ e aazam radi-Allāhu ta’ala anhu se dobaara mulaqaat hui aur aap un ke saath 57 din tak rahe.

582 Hijri me Isfahaan me Khwaja Qutb-ud-deen Bhakhtiar Kaaki ko mureed banaaya aur 585 Hijri me Samarqand me un ko khilaafat ata farmai.

************************
585 Hijri me aap Khwaja Qutb-ud-deen Bhakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi  ke saath Harmain shareefain gaye.

Aap Makka shareef me Masjid e Haram me ibaadat me mashgool the. Itne me ghaib se aawaaz aai ‘Tera Rab tujh se raazi hai, jo chaaho maang lo.’ Aap ne farmaaya ‘Aye mere Rab! Silsila e chishtiya me daakhil hone waalo ko bakhsh de.’ Phir aawaaz aai ke ‘ Maine tumhari dua qubool farmai hai aur Qayaamat tak ke silsila e chishtiya me daakhil hone waale ummat e Mohammadi ko bakhsh diya hai.’

Is ke baad Madeena shareef me the tab Huzoor Sarkare Madeena Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne khwaab me tashreef  laakar farmaya ke ‘Aye Moeen-ud-deen! Tum deen ke madadgaar ho. Tum ab Hindustan jaao aur waha jaahiliyat ko door karke logo ko deene islaam ka sahi rasta dikhao.’ Aur ek anaar ata farmaaya. Jab Khwaja ne us anaar ko dekha to us me Hindustan ka aur Ajmer ka naqsha dikhaai diya.

*************************
Raaste me bahot saare sufi auliya se faiz haasil karte hue aur hazaaro logo ko apna faiz ata karte aur deen ki sahi raah dikhaate hue aap Hindustan me Lahore me kuchh arse ke liye rooke aur phir waha se 587 hijri (1190 A.D.) me 52 saal ki umr me Rajputana (Rajasthan) ilaaqe ke Ajmer me pahunche. Jaha Prithvi-Raaj Chauhan ki hukoomat thi.

Ek baar Khwaja apne saathiyo ke saath ek darakht ke neeche baithe the. Itne me Raja ke sipaahiyo ne aakar kaha ke ‘Tum sab yaha se khade ho jaao. Ye raja ke oonto ke bethne ki jagah hai.’ Aap ne kaha ke ‘Ye oont dusri koi jagah par bhi baith sakte hain.’ To unho ne kaha ke ‘Nahi, Ye oont roz yahi par baithte hain.’ To aap waha se khade ho gaye aur farmaaya ke ‘Theek hai. Ab ye oont yahi par baithenge.’ Aur aap door chale gaye.

Phir kuchh waqt ke baad sipaahiyo ne oonto ko khade karne ki koshish ki to wo waha se khade na hue. Bahot koshish karne ke baad nakaam hokar wo sab Raaja ke darbaar me haazir he aur saari baaten bayaan ki. To us ne kaha ke ‘Tum us faqeer ke paas jaao aur us se maafi maango.’

Wo sipaahi khwaja ko dhundhte hue waha pahunche aur maafi maangi. Khwaja ne farmaaya ke ‘Jaao, tumhare oont khade ho gaye hain.’ Unho ne waha jaakar dekha to wo oont khade ho gaye the.

************************
Is ke baad aap ne bahot saari karaamat dikhaai.
Jis me Ana saagar ko apne kaanse me sama lena aur Ajaypal Jogi jadoogar ke phenke gaye patthar ko aasmaan me hi rok dena aur us ko musalman banaana mash'hoor hai.

************************
589 Hijri me Ajmer me Shahaab-ud-deen Ghori aap ke mureed bane.

611 Hijri me aap Delhi tashreef le gaye.

***********************
Aap rozaana ek Qur’an majeed mukammal kiya karte the.

************************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Aap ne apne khaadim ko paani laane ke liye bheja. Wo jab Ana sagar par pahuncha to waha ke pehredaar ne kaha ‘Yaha ke Raaja ka hukm hai ke tum logo ko paani na diya jaaye. Is liye tumhe paani nahi milega.’ Us ne waapas aakar Khawja ko bataaya. Aap ne use ek kaansa dekar Ana sagar par waapas jaane ke liye kaha aur farmaaya ‘Ana sagar se kehna ke tumhe Khwaja ne bulaaya hai.’ Khaadim ne waisa hi kiya. Aur foran saara paani kaanse me aa gaya aur Ana sagar khaali ho gaya aur saath me pure ilaake me se bhi paani khaali ho gaya.
Tamaam log paani na milne ki wajah se pareshaan ho gaye aur Raaja se fariyaad ki. Raja ne Khwaja ki baargaah me aakar maafi maangi. Aap ne farmaaya ‘Paani to us Rab ta’ala ki ata ki hui ne'amat hai jo saare jahaan ka Maalik hai aur paani insaan, jaanwar aur tamaam makhlooq ke liye hai. Kisi ko paani istemaal karne se rokna galat hai.’
Phir aap ne apne khaadim ko kaanse ka paani ana sagar me waapas daalne ke liye farmaaya. Jab khaadim ne paani waapas daala to ana sagar pehle ki tarah paani se bhar gaya aur pure ilaake sab jagah paani aa gaya.

(2) Ek martaba ek budhi aurat Khwaja ki baargaah me aai aur rote hue bataaya ke ‘Us ke be-gunaah naujawaan bete ko phaansi de di gai hai.’ Aur madad talab karne lagi. Sarkar Ghareeb nawaaz ne apna asaa mubarak haath me liya aur us budhiya ke saath chal pade. Jab phaansi dene ki jagah par pahunche to apne asaa se murde ki taraf ishaara karke farmaya ki ‘Agar tum be-gun-ah ho to ALLĀH ke hukm se zinda ho jaao.’ Foran wo murda ladka zinda ho gaya ur phaansi se utarkar neeche aaya. Aur wo ladka aur us ki maa Ghareeb nawaaz ke qadmo me gir pade. Aap ne dono ko tasalli di aur ghar ki jaanib rawaana kiya.

(3) Ek baar Aap Ana sagar ke paas se guzar rahe the ki aap ne ek aurat ki rone ki aawaaz suni. Puchhne par pata chala ke wo aurat bahot ghareeb thi aur us ki gaaye mar gai thi. Aap us ke saath us gaaye ke paas gaye aur dua ki to wo gaaye zinda ho gai. Ye dekhkar wo aurat aap ke qadmo me gir gai.

(4) Ek baar aap Ana sagar ke kinaare baithe the. Itne me ek charwaaha kuchh gaayen ke saath waha se guzra. Aap ne use doodh dene ke liye kaha. Us ne kaha ‘Ye gaayen kam umr ki hain aur doodh nahi deti.’ Aap ne un me ek gaaye ki taraf ishaara karke us ladke ko us gaaye ka doodh nikaalne ke liye farmaya. Jab us ladke ne us gaaen ko dekha to use ye dekhkar ta’ajjub hua ki wo gaaen ke pistaan doodh se bhar gaye the. Us ne doodh nikalkar Khwaja ko diya. Wo doodh itna tha ki 40 aadamiyo ke liye kaafi ho jaaye. Ye dekhkar wo ladka Khwaja saahib ka mureed ban gaya.

(5) Ek baar Khwaja ki baargaah me ek shakhs haazir hua aur arz ki ‘Ajmer se kuchh faasle par mera ek baagh hai. Jis ke darakht bilkul sukh gaye hain.’ Aap ne foran mitti ke ek lote me paani bharkar diya aur farmaaya ke ‘Is paani ko darakhto ki jado me daal do.’ Baagh ke maalik ne wo paani laakar darakhto ki jado me daal diya. Us paani ki barkat se baagh ke tamaam darakht sar sabz wa shaadaab ho gaye aur phal dene lage.

(6) Ek martaba Ajmer me aap apne mureed Shaikh Ali ke saath raaste se guzar rahe the. Itne me ek shakhs saamne aaya. Jis se Shaikh Ali ne qarz liya tha. Wo Shaikh Ali se apne qarz ki raqam waapas karne ke liye kehne laga. Khwaja ne us shakhs se farmaaya ‘Tum kuchh mohlat aur de do. Jald hi tumhari raqam tumhe mil jaayegi.’ Magar wo nahi maana. Aap ne jalaal me aakar apni chaadar zameen par bichha di. Aur foran us chaadar ke upar sona aur chaandi ka dhair ban gaya. Aap ne us qarz khwaah se farmaaya ‘Is me se jitni tumhari raqam hoti hain utna le lo.’ Jab wo shakhs ne us dhair me se maal lene ke liye haath aage badhaaya to us ke dil me laalach paida hua. Lekin jab wo apni raqam se ziyada maal lene laga to us ne dekha ke wo saara sona aur chaandi gaayab ho gaya aur us ka haath usi haal me reh gaya aur wo apne haath ko hila bhi nahi paaya. Wo foran Khwaja ke qadmo me gir gaya aur raham ki bhik maangne laga. Aap ne use maaf kiya aur us ka haath theek kar diya.

(7) Ek ameer khaatoon ko 7 ladkiya thi. Us ka shohar ladkiyo ki kasrat ki wajah se naraaz tha aur us ne dusri shaadi karne ka iraada kiya. Is dauraan wo aurat haamila hui. Wo Khwaja ki baargaah me haazir hui aur dua ke liye ilteja ki. Sarkaar Khwaja Ghareeb nawaaz ne farmaaya ‘Jaa, Tera maqsad pura hoga.’
Kuchh mahine baad ALLĀH ke fazl se us ke batan se nihaayat hi khoobsurat ladka paida hua.

(8) Ek baar aap ke Khalifa Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi Sultaan Shams-ud-deen Altamash aur us ke sipaahiyo ke saath Delhi me raaste se guzar rahe the. Itne me ek aurat saamne aai aur Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki par iljaam lagaaya ki ‘Mere pait me Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ka bacha hai aur un se mera nikaah karaaya jaaye.’ Sultaan aur waha maujood tamaam log hairaan ho gaye. Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ne apne Peer se madad ke liye Ajmer ki jaanib dekha aur foran Khwaja Ghareeb nawaaz waha haazir ho gaye. Aap ko dekhkar Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ki aankho me aansoo aa gaye.
Khwaja ne us aurat ki taraf dekhkar kaha ‘Aye bache, Teri maa Khwaja Qutub-ud-deen par iljaam laga rahi hai. Tu hi pait me se bata ki ye baat sach hai ya nahi?’ Us aurat ke pait me se bache ne jawaab diya ‘Huzoor ye aurat jhut bol rahi hai. Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ke dushman is aurat ke zariye un ko zaleel karna chaahte the.’
Ye sunkar us aurat ne apna gunaah qubool kar liya.
Phir aap waha se gaayab ho gaye. Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ke ilaawa kisi ko aap ke tashreef laane ka aur foran rukhsat hone ka raaz samajh me nahi aaya.

(9) Ek baar aap ke ek mureed ne Khwaja ki baargaah me haazir hokar arz kiya ‘Shaher ke governor ne kisi wajah se shaher chhodkar chale jaane ki saza di hai.’ Aap ne farmaaya ‘Apne ghar waapas jaao. ALLĀH ta’ala ne us governor ko saza de di hai.’
Wo mureed jab apne ghar waapas pahuncha to pata chala ki wo governor ghode par se gir gaya aur mar gaya.

*****************
Aap har saal ayyaam e Hajj ke dauraan Ajmer me hi maujood rehte the. Magar Hajj ke liye jaane waale log us waqt aap ko Makka shareef me aur Hajj ke maqaamaat par haazir dekhte.

*****************
Aap ki khaanqah me Langar chalaaya jaata tha. Jis me roz hazaaro logo ko khaana khilaaya jaata tha. Magar aap kabhi kisi se koi madad nahi lete the.

*****************
Aap 7wi sadi ke Mujaddid e Islaam hain.

Aap ne apne Faiz, Taaleem aur Karaamat aur Husn e akhlaaq se Hinadustan me Islaam ki bunyaad mazboot ki aur bulandi aur waqaar ata farmaaya.

Aap ne 90 laakh logo ko Islaam me daakhil kiya.
Beshumaar logo ne hidaayat paai aur Aap ki baargaah me tauba karke sahi raah apnaai.

*****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :

(1) Anees-ul-Arwaah
(2) Hadeeṡ-ul-Ma’arif
(3) Risaala Maujoodia
(5) Kanj-ul-Israar
(6) Kashf-ul-Israar
(7) Afaaq-o-Anfaas.

♦  Aap ki taaleemaat aur dars wa naseehat ko jama karke Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ne ek kitaab likhi hai jo ‘Daleel-ul-Aarifeen’ naam se mash'hoor hai.

***********************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :

(1) Haqeeqi aashiq ke dil me ishq ki aag is tarah jalti rehti hai ke jis me khwaahishat lakdiyo ki tarah jalkar khaak ban jaati hain.

(2) Kuchh achha karke kisi ka dil jitna ye bahot achhi baat hai magar apne nafs ko jitna ye us se bhi achhi baat hai.

(3) Asl Roza tamaam dunyaawi khwaahishat se parhez karna hai.

(4) Nek logo ki sohbat me rehna ye neki karne se bhi afzal hai. Aur gunaahgaaro ki sohbat me rehna ye gunaah karne se bhi badtar hai.

(5) Kisi ka dil na dukhaao,
Ho sakta hai ki wo aansoo tumhari saza ban jaaye.
Dukhiyo ki madad karna aur un ki fariyaad sunna afzal Ibaadat hai.

(6) Jhuti Qasam khaane se ghar me se Barkat chali jaati hai.
Hamesha sach baat kaha karo.

(7) Apne dil ko Adaawat aur Nafrat ke jazbe se paak rakho.

(8) Beshak jab log kisi Khilaaf e Shariat baat ko dekhe aur us ko na roke to anqareeb ALLĀH un sab par apna azaab e aam bhej dega.

(9) Aalim e deen ki Ziyarat aur Durwesho ki Dosti nuzool e Barkat ka sabab hoti hai.

***********************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya hain aur 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.

Bibi Ummatullāh (Nikaah 590 Hijri) se 2 bete aur 1 beti :
(1) Khwaja Fakhr-ud-deen Abul Khair rahmatullāhi alaihi (Sajjaada nasheen) (Sarwar)
(2) Khwaja Hisaam-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(3) Bibi Hafeeza Jamaal rahmatullāhi alaihi (Jin ka nikaah Shaikh Razi-ud-deen bin Khwaja Hameed-ud-deen Nagori se hua).

Bibi Asmatullāh binte Sayyed Wajih-ud-deen Mash'hadi (Nikah 620 Hijri) se 1 beta :
Hazrat Khwaja Zia-ud-deen Abu Saeed rahmatullāhi alaihi (Ajmer).

************************
Aap Hazrat Khwaja Uṡmaan Haarooni rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se Hindustan me Chishtiya silsila jaari hai.
Aap ke bahot saare mureedo ne Hindustan me deen e Islaam ki isha’at ka kaam jaari rakha.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi (Delhi);
(2) Hazrat Khwaja Soofi Hameed-ud-deen Naagori rahmatullāhi alaihi (Nagor, Rajasthan);
(3) Hazrat Khwaja Fakhr-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Sarwar, Rajasthan);
(4) Hazrat Khwaja Taaj-ud-deen Delhawi rahmatullāhi alaihi;
(5) Hazrat Shaikh Shams-ud-deen Faqari rahmatullāhi alaihi.

In ke ilaawa Aap ke silsile (khalifa ke khalifa) me bahot saare Auliya Allāh mash'hoor hain :

Hazrat Khwaja Fareed-ud-deen Mas'ood Ganje-shakar rahmatullāhi alaihi (Pak Pattan),
Hazrat Khwaja Khizr Roomi rahmatullahi alaihi,
Hazrat Khwaja Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir Kaliyari rahmatullāhi alaihi,
Hazrat Khwaja Nizaam-udd-een Auliya rahmatullāhi alaihi (Delhi),
Hazrat Khwaja Shaikh Jamaal-ud-deen Ahmad rahmatullāhi alaihi
Hazrat Khwaja Shams-ud-deen Turk Panipati rahmatullahi alaihi,
Hazrat Shaah Jalaal-ud-deen Mahmood Kabeer ul Auliya rahmatullāhi alaihi,
Hazrat Makhdoom Shaikh Ahmad Abdul Haq Rudaulwi rahmatullāhi alaihi
Hazrat Khwaja Abdul Quddoos Gangohi rahmatullahi alaihi,
Hazrat Haaji Imdaadullāh Muhaajir Makki rahmatullāhi alaihi,
Hazrat Sayyed Muhammad Jahaangir Shaah Kambal posh rahmatullāhi alaihi,
Hazrat Yamin-ud-deen Ameer Khusro rahmatullāhi alaihi (Delhi), Hazrat Khwaja Nasir-ud-deen Chiraagh  e Delhi rahmatullāhi alaihi (Delhi), Hazrat Maulana Wajeeh-ud-deen Yousuf rahmatullāhi alaihi, Hazrat Shams-ud-deen Yahyā rahmatullaāhi alaihi, Hazrat Ala-ud-deen Neeli rahmatullāhi alaihi, Hazrat Khwaja Abu Bakr Chishti rahmatullāhi alaihi, Hazrat Fakhr-ud-deen Zaraadi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Khwaja Ahmad Hankori rahmatullaāhi alaihi (Ahmedabad), Hazrat Baarakullāh Chishti rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad), Hazrat Husaam-ud-deen Multani rahmatullāhi alaihi (Patan [Gujarat]), Hazrat Sayyed Hasan Khateeb Urfe Shaah Baaba rahmatullāhi alaihi (Dholka [Gujarat]), Hazrat Shaah Wilaayat rahmatullaāhi alaihi (Gujarat), Hazrat Shaah Muntajeeb-ud-deen Zar Zari Zar Bakhsh rahmatullāhi alaihi, Hazrat Burhan-ud-deen Ghareeb (Khuldabad [Maharashtra]), Hazrat Jalaal-ud-deen Bhandari (Fatehabad [Maharashtra]), Hazrat Sayyed Ahmad Badepaa (Lancer [Hyderabad]), Hazrat Shaikh Muhammad rahmatullaāhi alaihi (Manikpur), Hazrat Shaikh Kamaal-ud-deen (Malwa), Hazrat Siraaj-ud-deen Akhi Siraaj Aa'ina-e-Hind rahmatullāhi alaihi (Gaur [West Bengal]), Hazrat Nizaam-ud-deen Maghribi rahmatullāhi alaihi (Bihar), Hazrat Shaikh Sharaf-ud-deen Bu Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi (Panipat [Haryana]), Sayyed Mahmood Kashkinakar rahmatullāhi alaihi, Hazrat Khwaja Mohiy-ud-deen Kashani rahmatullāhi alaihi,
Hazrat Shaikh Ala-ul-Haq Pandawi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Shaikh Noor-ul-Haq Noor Qutb-e-aalam rahmatullāhi alaihi, Hazrat Auhad-ud-deen Makhdoom Ashraf Simnani rahmatullāhi alaihi (Kichauchha), Hazrat Sayyed Abdur Razzaaq Noor-ul-ain rahmatullāhi alaihi,
Hazrat Ata Husain Faani rahmatullāhi alaihi.

Hazrat Muhammad Husain Gesudaraaz Banda-nawaaz rahmatullāhi alaihi (Gulbarga [Karnataka]), Sayyed Shaah Jamaalullāh Maghribi Husaini Hazrat Maulana Ala-ud-deen Gwaliori;
Hazrat Khwaja Sayyed Kamaal-ud-deen Allama, Khwaja Siraaj-ud-deen aur Khwaja Muhammad Ilm-ud-deen (Piran Patan, Gujarat), Khwaja Mahmood Raajan, Khwaja Jamaal-ud-deen Jumman, aur Hazrat  Khwaja Abu Saalih Hasan Muhammad (Ahmedabad), Hazrat  Khwaja Shams-ud-deen Muhammad, Hazrat  Khwaja Yahyā Madani, Hazrat  Khwaja Kaleemullāh Jahanabadi (Shah Jahanabad), Hazrat Nizaam-ud-deen Aurangabadi, Hazrat  Khwaja Fakhr-ud-deen Muhammad  Fakhr-e-Jahaan Dehalwi, Hazrat Noor Muhammad Maharvi, Hazrat Shams-ud-deen Muhammad Sialwi, Hazrat Khwaja Haafiz Muhammad Ali Shaah Khairabadi, Hazrat Khwaja Sayyed Haafiz Bahaadur Ali Shaah urfe Daada Miyan Sarkaar (Jabalpur), Hazrat Khwaja Haaji Najm-ud-deen Muhammad Sulaimāni, Hazrat  Khwaja Habeeb Ali Shaah, Hazrat  Shaah Ghulaam Muhammad Soofi (Durban / South Africa), Hazrat  Khwaja Peer Meher Ali Shaah Golrawi; Hazrat Ghulaam Qutb-ud-deen, Hazrat Sufi Inaayat Khan; Hazrat Shaah Niyaaz Ahmad Bareilwi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Nizaam-ud-deen Husain, Hazrat Shaah Muhammad Fakhr-e-Alam Niyaazi;
Hazrat Shaikh Ibrāheem Fareed e saani, Hazrat Shaikh Saleem Chishti, Shaikh Husain Ahmad Chishti;
Hazrat Makhdoom Shaah Meena, Hazrat Makhdoom Shaikh Sa’ad-ud-deen Khairabadi, Hazrat Makhdoom Shaah Safi Abdus Samad,
Hazrat Zain-ud-deen Shirazi (Khuldabad);
Hazrat Mirza Agha Muhammad, Hazrat Muhammad Meera Husaini, Hazrat Hisaam-ud-deen Mankpuri.
Hazrat Khwaja Faiz Mohmmad Chishti Shah-Jamali, Hazrat Khwaja Ghulaam Yāseen Chishti Shah-Jamali;

**********************
Wisaal se pehle aap apne hujre me Tilaawat e Qur’an karte rahe.

Aap ka wisaal 6 Rajab 633 Hijri (16 March 1236 A.D.) ko Peer ke din 97 saal ki umr me hua.

Aap ki namaaz e janaaza Khwaza Fakhr-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi ne padhai.

Aap ko aap ka mazaar Ajmer (Rajasthan) me hai.

***********************
Wisaal ke baad bhi aap ka faiz aur karaamat jari hai.
Aap ke mazaar par haazir hone walo aur aap ke waseele se dua maangne walo ko
ALLĀH ta’ala har nek jaaiz muraad ata farmaata hai.

Jis me ye qissa bahot mash'hoor hai.
Ek baar Baadshaah Aurangzeb rahmatullāhi alaihi Khwaja Ghareeb nawaaz rahmatullāhi alaihi ke mazaar ki ziyarat ke liye Ajmer gaye.
Aap jab khwaja ke mazaar par pahunche to waha ek andha shakhs baithkar ilteja kar raha tha.
Aap ne puchha ke ‘Aye shakhs kya muamala hai?' Us shakhs ne kaha ke ‘Main bahot arse se Khwaja ke waseele se dua kar raha hu ke mujhe aankho ki roshni mil jaaye. Lekin koi faa'ida nahi hua.’
Aap ne us se kaha ke ‘Main mazaar me salaam karke aata hu, agar tujhe aankh ki roshni nahi mili to talwaar se teri gardan alag kar daalunga.’

Wo andha shakhs pareshaan ho gaya ke ab to aankh ke saath jaan par baat aa gai hai. Wo aur zor se Khwaja ke waseele se dua maangne laga aur istegaasah karne laga.

Jab Aurangzeb ne Khwaja ko salaam kiya to us ka jawaab na mila, dobaara salaam kiya to jawaab na mila, phir jab teesri bar salaam kiya to aahista se jawaab mila ‘Wa alaikum assalaam Ya Aalamgeer Hujjati’.

Phir Khwaja ne mazaar me se farmaaya ke ‘Aye Aurangzeb, Aa'inda kabhi aisi zeed mat karna. Tumhari zeed ki wajah se us andhe shakhs ki aankho ki roshni laane ke liye main arsh e ilāhi par gaya tha. Aur is liye salaam ka jawaab dene me thodi der ho gai.’

************************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Ghareeb nawaaz rahmtullāhi alaihi aur Ahle bait aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur sab ke Eiman ki hifaazat farmae aur sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.