~NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jo shakhs Bahalat e Imaan Sawaab ke iraade se Shab e Qadar me Qiyaam kare to uske guzre hue gunah baqsh diye jaate hain.
(Ref: Sahih Bukhari, hadith no:35)

~Ummul Momineen Hazrath Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha farmati hain:
Main ne Arz kiya:
YA RASOOLALLAH !Sallallahu alaihi wasallam : Agar Mujhe Shab e Qadar miljaye to usme kya Dua Padhu?
Toh HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ye Dua karo !
Aye ALLAH ! TO BAHUT MAAF FARMANE WALA HAI, AUR MAAFI KO PASAND KARTA HAI, PAS TO MUJHE MAAF FARMA.
(Ref: Jame Tirmizi,hadith no:3855)

~NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Jis shakhs ne Tamaam Ramzan Maghrib aur Isha Jamaat ke saath padhi us ne Shab e Qadar ka waafir Hissa paaliya.
(Ref: Shubul Imaan;hadith no:3707)

More Islamic Masail Info www.diniraah.in