Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaih




Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi :


Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Irshaad, Siraaj-ul-Auliya, Aarif-e-Noori.

**********************
Aap ki wilaadat 19 Shawwal 1255 Hijri (26 December 1839 A.D.) ko Jumeraat ke din Marehra (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Zahoor Hasan bin Sayyed Shah Aal-e-Rasool Ahmadi Marehrawi rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Husaini saadat hain.

Aap ki umr 2 ½ saal ki thi tab aap ki waalida ka inteqaal hua.
Aap ke daada Shaah Aal-e-Rasool Ahmadi aur daadi Nisaar Faatima ne aap ki parwarish ki.
Aap ki umr 11 saal ki hui tab aap ke waalid ka inteqaal hua.

**********************
Aap ne Maulana Shaah Turaab Ali Lucknowi, Maulana Fazlullāh Jalesari, Maulana Noor Ahmad Badayuni, Maulana Muhammad Saeed Badauni, Maulana Abdul Qaadir Badayuni, Maulana Fazl-e-Rasool Badayuni, Maulana Ahmad Hasan Sufi Muradabadi aur Maulana Husain Shaah Bukhari se taaleem haasil ki.

Aap Quraan, Hadees, Tafseer, Fiqh aur Mantiq ke maahir hue.

**********************
12 Rabi’-ul-awwal 1267 Hijri (1851 A.D.) ko 12 saal ki umr me aap Hazrat Khaatim-ul-Akaabir Sayyed Shah Aal-e-Rasool rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.

1296 Hijri me Hazrat Shah Aal-e-Rasool rahmatullāhi alaihi ke wisaal ke baad aap Sajjaada nasheen bane.

**********************
Aap ne 6 saal ki umr se namaaz e tahajjud padhna shuru kiya.
Aap apna zyada waqt Ibaadat, Riyaazat aur Muraqaba me guzaarte.

**********************
Aap kasrat se khairaat karte rehte.
Jab aap kisi ghareeb ko phate puraane kapde me dekhte to us ke paas jaakar kehte ‘Kya tum mujhe apne kapde tohfe me dete ho?’ Agar wo maan jaata to aap us ke kapde lekar apne ghar par aate aur phir naye kapde laakar apni taraf se us ko dete.

**********************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Khwaja Ghareeb Nawaaz ke urs ke mauqe par logo ke ek giroh ne apni apni haajat ke liye istegaasah likhkar Khwaja tak pahunchane ke liye aap ko khat diye.
Aap ne apne khaadim Haafiz Nazrullāh ko wo tamaam khat Khwaja ke mazaar me junoob aur maghrib ke darmiyaan ke kone ki taraf le jaane ke liye farmaaya aur farmaaya ki ‘Waha tumhe ek shakhs milega jo tum se ye khato le lega.’


Maulana Ghulaam Shabbeer Badayuni ne aap ki guftagu sun li aur un ko Khwaja ke us kaasid se milne ki khwaahish hui. Unho ne chhupkar Hafiz Nazrullāh ka peechha kiya. Jab Hafiz Nazrullāh Noori miyan ki batai hui jagah par pahunche to wo jaldi se Haafiz Nazrullāh ke paas pahunch gaye.

Unho ne dekha ki Haafiz Nazrullāh ke haath khaali hain. Aap ko hairat hui ki koi shakhs nazar nahi aaya magar kuchh hi lamho me Haafiz Nazrullāh ke haath se wo tamaam khat gaayab kaise ho gaye. Unho ne Haafiz Nazrullāh se puchha ki ‘Un khato ka kya hua?’

Haafiz Nazrullāh ne jawaab diya ‘Aap kyun mazaaq kar rahe ho? Abhi kuchh hi lamho pehle aap ne mere haath se wo tamaam khat liye aur phir bhi puchh rahe hain ki un khato ka kya hua?’


Wo dono uljhan me pad gaye aur Hazrat Noori miyan ke paas aaye aur Haafiz Nazrullāh ne aap ko saari baat bataai. Aap ne farmaya ‘Kuchh jinnat ko Khwaja saahab ki baargaah me logo ki istegaasah pahunchane ke liye muqarrar kiye gaye hain.

Khwaja saahab ne logo ki ilteja jama karke pahunchane ki zimmedaari mujhe ata farmai hai. Aur wo qaasid mujhe pehchante hain aur jise main khat lekar bhejta hu use bhi pehchante hain. Aur usi qaasid (jinn) ne tumhare haath me se wo khat liye hain.’


Phir aap ne Maulana Ghulaam Shabbeer Badayuni se puchha ‘Kya aap bhi un ke saath waha gaye the?’ Unho ne kaha ‘Haan.’ Aap ne farmaaya ‘Aap un ki kaarwahi me khalel pahunchane waale the.

Is liye us qaasid ne aap ki shakl banaakar kuchh hi lamho me Haafiz Nazrullāh ke haath me se wo khat le liye.’
3 din baad wo tamaam khat aap ko waapas mile. Aur un me Khwaja saahab ke jawaab likhe hue the.


Aap ne farmaya ‘Ye mujh naacheez par Khwaja saahab ka bahot bada karam hai aur main is ehsaan ka tahe dil se shukr guzaar hu.’

(2) Uttar Pradesh ke zilaa Etaa me ek Doctor saahab the jo qareeb ke gaanv me jaakar ilaaj karte the.

Ek din ek anjaan shakhs Doctor saahab ke paas aaya aur kehne laga ke ‘Qareeb Ke gaanv me ek mareez hai. Aap chalkar use dekhen aur us ka ilaaj karen.’ Us ne Doctor saahab ko aane ke liye kuchh paise bhi diye. Doctor saahab us shakhs ke saath mareez ke ilaaj ke liye chale.


Raaste me ek jangle aaya. Jaise hi jangle me pahunche to us anjaan shakhs ne aawaaz lagaakar apne saathiyo ko bulaaya. Do aadami laathi lekar daudte hue aaye aur teeno badmaasho ne iraada kiya ke Doctor saahab ka saamaan loot kar un ko maar ke dariya me daal den. Ye dekh kar Doctor saahab ko sakht dar lagne laga.


Is mushkil ke waqt me Doctor saahab ne Hazrat Noori Miyan ko yaad kiya aur Istigaasah kiya ke ‘Huzur! Bagair Aap ki madad ke is bhayaanak jangle se nikalna mushkil hai. Apne khaadim ko is balaa se najaat Dilaiye.’


Jab Doctor saahab ne is tarah Hazrat se madad talab ki to unho ne dekha ke Hazrat dusri taraf tashreef farma hain aur ishaara farma rahehain ke Ghabraao nahi hum aa gae hain. Hazrat ne ishaara farmaaya to wo teeno badmaash waha se bhaag gae. Us ke Baad Doctor saahab ko pareshan dekhkar Hazrat ne farmaaya ‘Humare saath chale aao.’
Doctor saahab Hazrat ke saath chalne lage. Thodi der me aabaadi me pahunch gaye. Aabadi me pahunche ke baad Doctor saahab ne dekha ke Hazrat waha se gaa'ib ho gae.

Jab dusre din Doctor saahab Hazrat ki khidmat me pahunche to Hazrat ne un ko dekhkar tabassum farmaaya aur kaha ‘Alhamdulillāh. Anjaam ba-khair hua. Ghabaraao nahi.’

*******************
Aap ki lihi hui kitaaben :

(1) Al-Aslul Musaffa fi Aqaa'id-e-Arbab-e-Sunnatil Mustafa (Eimaan aur Bunyadi aqaaid ka bayaan)

(2) Risala Sawaal-wa-Jawaab (Raafziyo ke bad-aqeeda ke radd ke liye dalaa'il)

(3) Daleel-ul-Yaqeen (Hazrat Abu Bakr Siddeeq aur Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhuma ki fazeelat ki dalaa'il aur Jung e Jamaal, Siffin aur Naharwan ki haqeeqat)

(4) Tehqeeq-ul-Taraaweeh (20 rak’at taraaweeh ke liye dalaa'il)

(5) An-Noor-o-Wal-Baha fi-Asaneedil Hadees wa Salaasilil Awliya

(6) Ishtihaar-e-Noori

(7) Al-Jafar

(8) Lataaife Tareeqat Kashf-ul-Quloob (Tasawwuf)

(9) Siraaj-ul-Awaarif fil-Wasaya wal Ma’raif (Tasawwuf)

(10) Takheel-e-Noori (Najam ka majmua).

**********************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :
(1) Tareeqat aur Shariat alag alag nahi ho sakti, balke Shariat me takmeel aur bulandi hi Tareeqat hai.

(2) Bad-aqeeda logo se hamesha door raho kyun ki un ki sohbat se eimaan barbaad ho jaata hai.

(3) Narmi insaan ko fazeelat wa sharf dilaati hai. Kabhi kisi ko khud se kamtar mat samjho.

**********************
Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne aap se Ilm e Jafar ki taalim haasil ki hai.

**********************
Aap Hazrat Shaah Aal-e-Rasool Marehrawi Qaadri Barkaati rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ko Shaah Ghulaam Muhiy-ud-deen Ameer-e-aalam, Shaah Shams-ul-Haq urfe Tinka Shaah, Mufti Sayyed Ain-ul-Hasan Bilgrami aur Haafiz Shaah Ali Husain Muradabadi rahmatullāhi alaihi se bhi khilaafat mili hai.

Aap ko Qaadri, Chishti, Naqshbandi, Suhrwardi aur Madaariyya silsile ki ijaazat mili hai.

Aap se Tareeqat ka ‘(Qaadri) Noori’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Shaah Mahdi Hasan rahmatullāhi alaihi ,
(2) Mufti-e-aazam-e-Hind Hazrat Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi.

**********************
Aap ki 2 biwiya hain :
(1) Ruqayya Begam binte Shah Zahoor Husain
(2) Altaaf Faatima binte Sayyed Muhammad Haidar.

Aap ke saahabzaade Sayyed Muhiy-ud-deen Jeelaani ka banchpan me hi inteqaal ho gaya tha.

**********************
Aap ka wisaal 11 Rajab 1324 Hijri (31 August 1906 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

**********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.



For More Msgs Click This Link
           www.diniraah.in
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣