Dewar Aur Bhabhi ka rishta islam me


Dewar Aur Bhabhi

Aaj Kal Jo Sabse Ziyada Khatarnak Fitna Muslim Muashare Me Chal Raha Hai Woh Dewar Aur Bhabhi Ka Ikhtilat(Mixing)Hai

 Aksar India Aur Pakistan Me Aam Taur Par Dekha Gaya Hai Ke Shadi Ke Baad Ladki Apne Sasural Mein Dewar Aur Jeth Ke Saath Bagair Sharayi Parde Ke Rehti Hai Aur Is Me Koi Aib Bhi Nahi Samjha Jata Hai

 Jawan Dewar Ka Apni Bhabhi Ke Saath Hansi Mazak Aur Chhedkhani Aam Hai

 Aksar Aurtein Apne Dewar/Jeth Ke Saamne Bagair Sharayi Parde Ke Rehti Hai Aur Jab Unse Parde Ke Baare Mein Kaha Jaye To Kehti Hai Ye To Mere Chhote Bhai Jaisa Hai

 Kiya Islam Me Ye Jaiz  Hai?

 Ek Aurat Ke Liye Har Us Shaks Se Parda Zaroori Hai Jo Gair Mehram Hai

 Jiske Saath Ta-Hayat Aurat Shadi Kar Sakti Hai

 Quran Me Iski Wazahat Hume Milti Hai

 Gair Mehram Se Parda Karna Ibadat Hai

 Allah Ta-Aala Ka Farman Hai

"Aur Momin Aurtoon Se Bhi Kaheye Ke Woh Apni Nigahain Neeche Rakha Karain Aur Apni Sharam Gaho Ki Hifazat Kiya Karen

 Aur Apni Zeenat Ko Zahir Na Karain Mager Jo Aza Khud Zahir Ho Jaye Aur Apni Odhniya Apne Seeno Per Dal Liya Karain Aur Apni Zeenat Ko Zahir Na Karen Magar In Logo Ke Samne

 Baap , Sasur , Bete (Sotele Bete) Bhai, Bhatije, Bhanje Apni Mel Jol Wali Aurtain Kanezain Jinki Woh Malik Hon 
Aise Khadimm Mard Jo Aurtoon Ki Hajut Na Rakhte Hon Aur Aise Larke Jo Aurtoon Ki Poshida Baaton Se Abhi Waqif Na Howe Hon 

Aur Apne Paoon Zameen Per Marte Huwe Na Chale Ke Jo Zeenut Inhone Chupa Rakhi Hai Iska Logon Ko Ilm Ho Aur Aye Imaan Walo!!
 Tum Sub Allah Ke Hazoor Tauba Karo Tawaq'qo Hai Ke Tum Kamyab Ho Jao-"

 ( Al Quran, Surah Al Noor, Ayat 31)

 Is Ayat Me Allah Ta-Ala Har Momin Aurat Ko Hukm De Raha Hai Jiski Ita'at Har Momina Par Farz Hai Aur Iske Inkaar Se Allah Ki Pakad Lazim Hai

Dewar Aur Bhabhi


 Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:

“(Na Mahram) Aourton Ke Paas jane se bacho!” Ek Ansari Sahabi farmane lage:

Ya Rasool Allah! Khawind ke bhaiyyon (dewar aur jeth wagerah) se Mutalliq Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka kiya hukum hai? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya: 
"Khawind ke bhai (Dewar) Toh Mout Hain Mout. (Yani in se pardah karne Aur Door rahne Ka To bahut Ziyadah Ahtemam karna chahiye)."

Sahih Al Muslim, Vol. 5, Hadees 5674)

 Is Hadees Se Wazeh Huwa Ke Dewar Se Sharayi Parda Karna Har Aurat Par Farz Hai Lazim Hai

 Tirmizi Shareef  Ki Ek Sahih Hadees Me Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Hai Ke Jab Ek Aurat Aur Ek Mard Tanhayi Me Milte Hai To Unka Teesra Saathi Shaitan Hota Hai
(Jami At Tirmizi, Hadees 1171)

 Quraan Me Allah Ta-Aala Ne Irshaad Farmaya Hai Ke Shaitan Tumhara Khula Dushman Hai
 (Surah Bakra Aayat 207)

 Shaitan Har Mumkeen Koshish Karta Hai Ke Dewar Aur Bhabhi Me Hansi Mazak Ke Zariye Aapas Me Ek Dusre Ke Dil Me Ghar Banaya Jaye

Fir Ye Hansi Mazak Aage Chal Kar Zina Jaise Bhayanak Gunaah Ko Anjam Deti Hai

 Dewar Ko Maut Is Liye Kaha Gaya Hai Kiyun Ke Woh Ghar Me Aasani Se Aata Jaata Rehta Hai

 Uspar Kisi Ko Shak Nahi Hota Koi Agar Bahar Ka Aadmi Ghar Me Aaye To Gharwalon Ki Aur Padosiyon Ki Nazar Us Par Rahti Hai

 Aurat Ke Liye Sasural Ho Ya Uska Mayka Har Waqt Har Jagah Uske Liye Gair Mehram Se Parda Karna Farz Hai Lazim Hai

Bahut Se Ghar Isi Bina Par Ujad Gaye Ke Dewar Aur Bhabhi Ke Najayez Sambandh Ban Gaye The

 Is Fitne Se Bachne Ki Har Mumkeen Koshish Zaroori Hai

 Behtar Honga Agar Shadi Ke Baad Alag Raha Jaye

 Ya Phir Mukammal Parde Ke Hifazat Ki Jaye

 Allah Hume Sahih Deen Par Chalne Wala Banaye

Allah Subhanahu Wa Ta-Aala Dua Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quraan O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Dawat Dene Wala Banaye,

 Aameen Ya Rabbal Aalameen

Ye bhPadhen 👇👇